Wednesday, 4 May 2016

True knowledge about "Artist Card".


1) Artist Card Kya Hai?


- Artist Card ek tarha ka Card hai, jo aapke Artist hone ki Identity ko batata hai.

2) Artist Card Ka Kya Use Hai?


- Agar koi Production House aapse kaam karwata hai. Baad me aapko paise dene se aanakani karta hai, tab yahi Artist Card ki Association inse fight karke aapko Justice dilati hai.

3) Artist Card Kaun Banate hai?


- Artist card Ke liye Sirf 2 Hi "Genuine" Associations hai Mumbai me.

1) CINTAA
2) SHIV SENA

4) Artist Card Banwa Lunga to Kya Kaam Milega?


- Nahi, Artist card banwa lene se kaam nahi milta, Kaam aapko aapke "Talent" se milta hai.

5) Artist Card ke Naam se Fraud Kaise Hota hai?


- Google me bahut si online websites aa chuki hai, jo 1-2 hours me artist card dene ka waada karti hai, Vo "Fraud" hai unse bacheye. Unke cards ki koi value nahi hoti.

- TV/Serials me aapko aapka guaranteed role bta ke, Fir end me Artist Card Ke Naam pe Paise maange jaate hai. Vo Fraud hai.

- Fraud karne waale Cintaa ka Card banane ka Price 50k-2 Lakh tak btate hai. Jabki Real Price to kuch aur hi hai.

6) Kya Bina Artist Card Ke Mujhe Kaam Nahi Milega?


- Milega jarur milega, Mumbai me aapko TV Serials or Films me aapke Talent ke basis me liya jaata hai na ki Kisi Artist Card ke basis me.

7) Kitne Me Artist Card Banta Hai?


- CINTAA (10k-35k)   (However, check the current rate)
- Shiv Sena (2k)        (However, check the current rate)

8) Eligibility Criteria Kya hai Donu Artist Cards Ke Liye?


 -  Cintaa Eligibility Criteria - 
    Ø  An artiste having worked in TV Serials or a Film which is released may obtain work permit by submission of CD or link.

    Ø  Fresher may submit letter of engagement from the producers of TV Serials/Films or give an audition in CINTAA office.

    Ø  Artists having Diploma / Degree from Acting institutes like FTII / NSD etc. recognized by Government may not submit Agreement / Letter of Engagement for obtaining Work-Permit.

    Ø   Application form charges  Rs 150/- in cash

    Ø  Cheque/DD of Rs.10, 000/- fvg. CINTAA (Cine & TV Artiste’s Association)

    Ø  3 recent passport size photo-graphs

    Ø  Proof of date of birth (Copy of Passport/Pan card/ School college Leaving Certificate/BC)

    Ø  Proof of Address (Copy of Passport/Voters Id/ Aadhar Card/Rental Agreement)
 
  - Shiv Sena Eligibility Criteria - 
    Ø  3 Passport size Photographs

    Ø Copy of any one out of  PAN CARD, RATION CARD, PASS PORT, DRIVING LICENCE, RESIDENTIAL PROOF, VOTER I CARD etc


9) CINTAA Or Shiv Sena Ka Contact Address Kya Hai?


- CINTAA  Contact Address -
  221, Kartik Complex, 2nd Floor, Opp. Laxmi Industrial Estate,
  New Link Road, Andheri (W), Mumbai-400053.
  Tel : 91 22 26730511, Telefax : 91 22 26730510
  Email ID : cintaamumbai@gmail.com

- SHIV SENA Contact Address -
  1) G 9, Nootan Nagar Primises CHS, Gurunanak Road, Bandra West, Mumbai.
      Phone: 26557001, 26404712
  2)  Shreyas Colony, Hanuman Mandir, Aarey Road, Goregaon East.


10) Aapko Kya Lagta hai Mujhe Kaunsa Card Banwana Chahiye?


- Agar aap Mumbai me rhete hai, aapka budget zyaada nahi hai to shiv sena ka card banwa lijiye. Taaki kal ke din koi bhi production waale aapke saath fraud nahi kar sake. 2000 Rs koi bahut badi amount nahi hai agar kuch problems aa gayi to.

- Agar aap Mumbai ke bahar ki Cities me hai Like Delhi, MP, Punjab etc. To fir aapko koi Need hi nahi hai artist card banwane ki.

- Kabhi bhi Artist Card banwaye ho to Sirf "CINTAA" aur "Shiv Sena" Ka, Kyunki inke alawa Tesre Card ki koi Value nahi hai Mumbai me. Ye donu Associations bahut Strong Hai.

- Artist khud jaake yaha se banwaye aap. Kisi dusre person ko mat bhejeye. Kyunki bahut se log "Cintaa" or "Shiv Sena" ka naam leke bhi Online Fraud karte hai. So be Careful.

Thanks for giving your valuable Time.

If you like this Post, Please "Share" with your Friends.

3 comments:

  1. Kya artistcard.in ki site se artist card banaya ja sakta hai??

    ReplyDelete
  2. Surat city Gujarat say huu to a kya mujhe artist card banvaana cahiye kii nahi.,place.response. jarur.dijiyegaa.., Sarveshsingh.,Rajput

    ReplyDelete
  3. Online artist card banwana chahiye mujhe Esha lagta hai ki payment kar diya fir nahi aaya tho cess payment kar Sakta hu jab aa jayega tho my contact no 8849065603

    ReplyDelete